क्या यही है वो ?
ये कौन है जो मेरी जिंदगी में आ गया ?
फिर से वही एहसास दिला गया ,
मेरा दिल , मेरा चैन , मेरा सब कुछ ले गया
अब फिर मुझे किसी की याद सता रही
अब फिर मुझे नींद नहीं आ रही
बस दिल मेरा उसे
देखने को कर रहा
दिन रात बातें
करने को कर रहा
लेकिन दिल यहीं थम सा गया मेरा...
कुछ कह नहीं पा रहा दिल मेरा
कहीं फिर वही मंजर ना हो जाए
कहीं फिर वो मुझसे दूर ना हो जाए
सारी बातें मैं दिल में दबा रखा हूं
मैं उन्हीं की यादें सजा रखा हू
बस उनसे दूर नही जाना मुझे
बस ये याद दिलाना मुझे
अगर ऐसा हो चली जाय वो दूर मुझसे
तो मेरा एक काम कर देना
उन्हे मेरा पैगाम भेज देना
कि कोई था जिसने चाहा था तुम्हे
कोई था जिसने मांगा था तुम्हे
तुम्हारी यादों में उसकी निंदे उड़ गई थी
तुम्हारी चाहत में सपने खो गए थे !
बस दुवाओ में तुम्हे ही मांगा करता वो
हर वक्त तुम्हारी ही बाते करता वो
पर तुमसे बिछड़ने का गम
सह नही पाया वो
और तुम्हारे जाते ही , फना हो गया वो।
Kya Yahi Hai Woh?
Yeh kaun hai jo meri zindagi mein aa gaya?
Phir se wahi ehsaas dila gaya,
Mera dil, mera chain, mera sab kuch le gaya.
Ab phir mujhe kisi ki yaad sata rahi
Ab phir mujhe neend nahi aa rahi.
Bas dil mera use
Dekhne ko kar raha
Din raat baatein
Karne ko kar raha.
Lekin dil yahin tham sa gaya mera...
Kuch keh nahi paa raha dil mera.
Kahin phir wahi manzar na ho jaaye
Kahin phir woh mujhse door na ho jaaye.
Saari baatein main dil mein daba rakha hoon
Main unhi ki yaadein saja rakha hoon.
Bas unse door nahi jaana mujhe
Bas ye yaad dilana mujhe
Agar aisa ho chali jaaye woh door mujhse
Toh mera ek kaam kar dena
Unhe mera paigaam bhej dena
Ki koi tha jisne chaaha tha tumhe
Koi tha jisne maanga tha tumhe
Tumhari yaadon mein uski neendein ud gayi thi
Tumhari chaahat mein sapne kho gaye the!
Bas duaaon mein tumhe hi maanga karta woh
Har waqt tumhari hi baatein karta woh
Par tumse bichadne ka gham
Seh nahi paaya woh
Aur tumhare jaate hi, fanaa ho gaya woh.
Comments
Post a Comment